Khudi Say Hai Wajood-E-Adam
Phir Issay Itnaa Inkaar Kyun Hai
Khud Jwaab Bun Kay Chamktaa Hai Yeh Swaal
Phir Sadion Say Ispay Itnaa Taqraar Kyun Hai
Khudi Maqaam-E-Ahsaas-Inthaa
Khudi Zauq-E-Bedaari-E-Insaan
Khudi Tam_ddun Ki Nighabaan
Khudi Zauq-E-Parwaa Ka Naam
Khudi Ka Des Ik Zammen-E-Zarkhayz
Khirad Ka Shajar Aur Ahsaas Ka Samara
Aisay Gulshanon Main Palee Khudi Ki Umr
Khudi Jab Raushan Ho Aaftaab Ki Maannid
Khuda Bun Jaati Hai
Khudi Gar Bhtak Jayay Raah-E-Ilam Say
Benoor Parstish Main Gunaah Bun Jaati Hai
Bahut Naazuk-O-B_land Hai Raah-Seerat-E-Khudi
Neechay Gehri Andhairi Hai Gaphalut Ki Nadee
Pehlay Uthlay Paanion Par Pul Banaanaa
Hosh Apnay Ko Aazmaanaa
Phir Daraaon Par Ja Kay Dohraanaa
Tub Seeraat-E-Khudi Par Aanaa