Khuda Na Kare Inn Aankhon Ke Samne Phir Se Kabhi
To Aaye, Isse Aacha To Ye Ho Ki Tujhe Dekhne Se
Pehle Hi Ye Sada Ke Liye Band Ho Jaye,
Nafrat Si Ho Gayi Hai Tujhse Aur Tere Zamir Se,
Jisne Kabhi Mujhe Samjha Hi Nahi, Jisne Kabhi
Mujhe Chaha Hi Nahi
Tanhai Aur Gamm Bhi Saath De Jate Hai Waqt Aane
Par, Aur Ek Tu Hai Jisne Har Waqt Mere Dil Ko
Choot Di Hai
Har Baar Toota Mera Dil Teri Thokar Se Phir Bhi
Jane Kyun Tujh Jaise Pathar Dil Insaan Ko Chahti
Rahi Shidatt Se
Socha Karti Thi Yahi Mein Apne Dil Me Ki Mera Pyar
Meri Pooja Tujhe Pigla Degi, Iss Baar Maaf Kar Do
Shayad Aage Se Tujhse Galti Na Hogi-Â…
Weham Tha Mere Dil Ka Ki Tu Bhi Ek Nek Insaan Hai,
Mujhe Nahi Pata Tha Ki Tere Pass Dilo Se Khelne Ki
Ek Dukaan Hai
Dua Hai Uss Sache Khuda Se Tujhe Dekhne Se Pehle
Hi Ye Aankhien Sada Ke Liye Band Ho Jaye-Â…