Khuda Kii Khudai Par Sawal Uthane Ke Liye Mat Aana
Khata Kar Ke Mujhe Ilzaam Dene Ke Liye Mat Aana
Ro Rahi Hain Ye Aankhein Meri, Jaane Kabse
Behne Do, Inn Ashkon Ko Aur Jalane K Liye Mat Aana
Kuch Lamhon Kii Baat Nahin, Ye Daastan-E-Zindagi Hai Meri
Kuch Adhoori Hi Sahi Par Isse Mitane K Liye Mat Aana
Kyun Tum Dil-E-Marhoom K Liye Apni Aankhein Nam Karte Ho
Jaane Do, Bujhti Shammon Ko Jalane K Liye Mat Aana
Aaj Dil Chahta Hai Poochna Ki Tumne Aisa Kyun Kiya
Khafa Hai Tumse, Magar Isse Manane Ke Liye Mat Aana
Rukhsat Ho Rahi Hai Tere Jahan Se Ye Wafa
Ilteza Hai Ke Meri Mazaar Par Rone Ke Liye Mat Aana