Khuda Jab Hussn Deta Hai, Nazakat Aa Hi Jaati Hai,
Bachna Lakh Chahoon, Samne Qayamat Aa Hi Jaati Hai
Hai Mera Haal Kuch Aisa, Shehr Mein Inn Dino Aye Dost,
Mere Ghar Pohuchne Se Pehle Shikayat Aa Hi Jati Hai
Na Wo Pehli Si Baaten Hai, Na Woh Pehla Sa Aapnapun,
Suna Hai Hussn Ke Nikharne Pe, Yeh Aadat Aa Hi Jati Hai
Ek Sa Hai, Ghum-E-Pinha, Jo Uss Gul Mein, Mere Dil Mein,
Gul Ko Haste Dekh, Dil Mein Adaavat Aa Hi Jaati Hai
Kai Baar Socha Kar Doo Uss Zalim Ko Mein Ruswaa,
Iss Faisle Ke Beech Kambakht Sharafat Aa Hi Jaati Hai