Khuda Jaane Mohabbat Ke Kya Rang Hote
Hai Kuch Hassen Palo Ki Khushiya Aur
Zindagi Bhar Ke Gamm Hote Hai,
Khuda Jaane Mohabbat Ke Kya Rang,
Hoti Hai Roshni Subah Ki Par Phir Hamesha
Ke Liye Shaam Me Andhere Ke Aalam Hote Hai,
Khuda Jaane Mohabbat Ke Kya Rang,
Hoti Hai Do Dilo Ki Aasmaa Pe Udane Ki Chahte,
Par Har Baar Kaid Ke Pinjare Nasib Hote Hai,
Khuda Jaane Mohabbat Ke Kya Rang,
Hassi Hoti Hai Hothon Pe Har Baat Ke Liye,
Par Aksar Beech Majhdaar Me Samunder Se Bhi
Gehre Dil Me Aansoo Ke Selaab Hote Hai,
Khuda Jaane Mohabbat Ke Kya Rang,
Hoti Hai Chahte Aashiyaan Bnane Ki Par
Haathon Me To Reet Ke Mehal Hote Hai,
Khuda Jaane Mohabbat Ke Kya Rang,
Manjile Dikhti Hai Nazdeek Bahut Par
Aksar Iss Mohabbat Ke Raste Lambe Hote Hai,
Khuda Jane Mohabbat Ke Kya Rang,
Aankhon Me Ho Beshak Tasveer-E- Yaar Ki,
Par Dil Me Har Baar Wahi Choote Hue Nagme Hote Hai,
Khuda Jane Mohabbat Ke Kya Rang,
Kyun Shuruaat Me Phoolo Ke Baag Aur Aant Me
Bass Toote Hue Dilo Ke Shamshaan Hote Hai,
Khuda Jane Mohabbat Ke Kya Rang Hote Hai