Khud Dil Mein Rah Ke Aankh Se Pardaa Kare Koi
Haan Lutf Jab Hai Paake Bhi Dhundha Kare Koi
Tum Ne To Hukm-E-Tark-E-Tamanna Suna Diya
Kis Dil Se Aah Tark-E-Tamannaa Kare Koi
Duniya Laraz Gaii Dil-E-Hiramaan_nasib Ki
Is Tarah Saaz-E-Aish Na Chheda Kare Koi
(Hiramaa.N_nasiib=nasiib Ke Maare Hue)
Mujh Ko Ye Aarazuu Vo Uthaayen Naqaab Khud
Un Ko Ye Intazaar Taqaazaa Kare Koii
Rangiinii-E-Naqaab Mein Gum Ho Gaii Nazar
Kyaa Be-Hijaabiyon Kaa Taqaazaa Kare Koi
Yaa To Kisii Ko Jurrat-E-Diidaar Hii Na Ho
Yaa Phir Merii Nigaah Se Dekhaa Kare Koi
Hoti Hai Is Mein Husan Ki Tauhin Ai ‘Majaz’
Itana Na Ahal-E-Ishq Ko Rusava Kare Koi