Khoon Apna Tum Yun Jala Kar Baitho,
Khatra-E Lahoo Ko Aansu Se Baha Kar Baitho,
Doston Se Jo Mile Hissa-E-Gham-O-Nafrat,
To Lazim Hai Phir Usse Sambhal Kar Baitho,
Kuch To Samaan Gham-E-Duniya Ka Bhi Ho,
Jo Apnon Se Mile Vo Gale Laga Kar Baitho,
Khurbat-E Sanam Agar Ho Tera Gunaah Jaisa,
To Zindagi Mein Ek Akhri Gunaah Kar Baitho,
Sare Bazaar Gunahon Se Parda Jo Faash Karde,
To Apni Zindagi Se Tum Saaf Mukra Kar Baitho.
By Abul Asad