Khona Pana Pana – Khona Hi To Jeevan Hai,
Her Lamha Jeena Hi To Jeevan Hai.
Zarra – Zarra Bhi To Zinda Hai,
Pattey – Pattey Mein Bhi To Jeevan Hai.
Phoolon Ke Saath Kaante Bhi Hotey Hai,
Unke Bina Kaha Phoolo Ka Jeevan Hai.
Jeevan Ko Samjh Saka Nahi Koi ,
Bas Sachha Hai To Her Ek Darpan Hai.
Ana – Jana Jana – Ana Hi To Jeevan Hai,
Sabko Apnana Bhi To Ek Jeevan Hai.
Tan Mein Kya Rakhha Hai,
Ujla – Ujla Hi To Sabka Ek Man Hai.
Dhan Dolat To Ani – Jani Hay Dunia Men,
Khona Pana Pana – Khona Hi To Jeevan Hai