Khela Thaa Nazuuki Se Dil Ki, Wo Jaante Hain
Dil Ki Lagi Se Hamari Kee Dillagi, Wo Jaante Hain
Wo Raaz, Wo Izhaar, Wo Pyaar Kee Batein
Reh Reh Kar Chalti Saanson Ke Intezaar Ki Batein
Karte Thhe Wo Ashk Peene Pilaane Kee Batein
Yeh Gauhar *Inaayat Hain Unki Wo Jaante Hain
Kehte Thhe Chaand Se Bhi Haseen Hain Hum
Hai Chaandni Siyaah Huyi Unki, Wo Jaante Hain
Kareinge Jab Wo Tark-E-Ta-Aluq Humse
Barsayeinge Daulat-E-Duaa Hi Wo Jaante Hain
Hasrat-E Parvaaz Ka Daur Bhi Guzar Gaya
Kate Hain Aaj *Bal-O-Par Bhi Wo Jaante Hain
Kehte Hain Waqt Bharta Hai Zakhm Saare Magar
Waqt Thama Hai Furqat Mein Unki Wo Jaante Hain
Khwab-E-Daaman Mein Basi Hai Mehek Unki paras
Saans Leine Se Dharkan Hai Dukhti Wo Jaante Hain
Dil-E-Barbaad Ab Tuuhi Bata Kahaan Jayein Hum
Tadapta Naye Zakhm Khane Ko Ji Wo Jaante Hain