Khbar Na Thee Arsa-E-Zindagi Itna Mukthsar Hoga,
Yahan Yeh Dam Niklega Wo Mere Yaar Ka Dar Hoga.
Tere Koochay Ki Janib Jis Roz Meri Rawangi Hogi,
Yaad Rakhna Wo Safar Mera Aakhri Safar Hoga.
Dekhna Mujhay Moot Bhee Aiyegi To Aise Aiyegi,
Tere Qadamon Ki Khakh Hongi Or Mera Sar Hoga.
Youn Tanha Ho Gaya Tere Bina Is Bhari Dunia Main,
Akela Chala Jaounga Saya Bhee Na Hamsafar Hoga.
Taaron Kay Sehar Main Basa Lunga Dunia Teri Khatir,
Wahan Na Kisi Ka Khauf Hoga Na Kisi Ka Dar Hoga .
Zamanay Walo Tum Bhee Dekho Anjaam-E- Mohabat,
Yahan Jo Bhee Wafa Karega Uska Yahi Hashar Hoga.
Bass Ik Nazar Jee Bhar Kay Dekh Lu Apnay Khuda Ko,
Phir Uskay Baad Shuru ‘Veer’ Ka Aakhri Safar Hoga.