Khayalon Mein Main Unse Aksar Kehta Tha,
Meri Bas Itni Khwaish Hai,
Main Kuch Aisa Pehchana Jau,
Zindagi Bhar Aap Ke Naam Se Jana Jau,
Is Par Bhi Dekha Us Par Bhi Dekha,
Mohabbat Kahin Bhi Nahi,
Duniya Ko Azma Ke Bhi Dekha,
Karte Hai Nafrat Jaha Bhar Ke Log,
Tere Sheher Ke Un Sunsaan Rasto Mein Aa Ke Bhi Dekha,
Mohabbat Ke Andhere Mein Sab Jakde Hue Hai Log,
Nazar Ke Diyo Ko Hum Ne Jalakar Bhi Dekha,
Samjha Nahi Koi Bhi Humari Dard Ki Siddat Ko,
Har Ek Ko Haal-E-Dil Sunake Bhi Dekha,
Bharte Nahi Hai Zakham Humare Kisi Bhi Tarha Se,
Apni Aankhon Ka Har Aansu Hum Ne Gira Ke Bhi Dekha,
Kharida Nahi Hum Ko Kisine Bhi Neelami Mein,
Khud Ko Saare Bazaar Pesh Kara Ke Bhi Dekha,
Bulate Nahi Ho Tum Humein Zindagi Ke Safar Mein,
Dar-E-Hijar Mein Kahi Baar Hum Ne Tum Ko Bula Ke Bhi Dekha,
Aata Nahi Hai Wapas Kabhi Beeta Hua Zamana,
Lamho Ke Dor Ko Wapas Ghuma Ke Bhi Dekha,
Aate Nahi Ho Kabhi Bhi Humare Khwabon Mein,
Aankhon Ki Nagri Mein Tere Aa Ke Bhi Dekha,
Bhula Nahi Pate Hai Tujhko Kisi Bhi Tarah Se,
Aap Ne To Humein Rula Ke Bhi Dekha,
Chodti Nahi Hai Peecha Teri Bhatakti Hui Yaadein,
Tere Is Purane Sheher Ko Chod Ke Bhi Dekha,
Kaash Wo Ruk Jati Ek Pal Ke Liye,
Waise Mohabbat Ka Wasta Us Ko De Ke Bhi Dekha,
Aaj Tak Unke Baad Hum Ne Kisi Aur Ki Tamanna Nahi Ki,
Aur Unhon Ne To Kisi Aur Ka Ho Ke Bhi Dekha.
By Rupesh Medhe