Khawab Toot Jate Hai
Bheer Main Zamane Ki
Hath Choot Jate Hai
Dost Daar Lahjoon Main Salwatain See Partee Hai
Ik Zara See Ranjish Se
Shak Ki Zard Tehni Par Phool Bad-Gumani Kay
Is Tarha Se Kihltay Hai
Zindagi Se Pyaray Bhi
Ajnabi Se Lagtay Hai Ghair Ban Kay Miltay Hai
Umr Bhar Ki Chahat Ko Aasra Naheen Milta
Dasht-T-Beyaqini Main Rasta Naheen Milta
Kamashi Kay Waqfoon Main
Baat Toot Jati Hai Aur Sira Naheen Milta
Mazrat Kay Lafzoon Ko Raushni Naheen Miltee
Lazatey Pazeerai Phir Kabhi Naheen Miltee
Phool Rang Wadoon Ki
Manzilain Sukarti Hai
Rah Murnay Lagti Hai
Berukhi Kay Garay Se Bedili Ki Mitti Se
Faslay Ki Entoon Se Ent Jurnay Lagte Hai
Khaak Urnay Lagtee Hai
Khawab Toot Jate Hai
Wahmoon Kay Saay Se Umr Bhar Ki Mehnat Ko
Pal Main Toot Jate Hai
Ik Zara Se Ranjish Se
Sath Choot Jate Hai
Bheer Main Zamany Ki
Hath Choot Jate Hai
Khawaab Toot Jate Hai