Khata Humari, Ghalti Humari, Zulm To Batata Jaa,
Humari Betaha Mohabbat Ki Saza To Sunata Jaa
Socha Tha Aaya Hain Thandi-Hawa Ka Jhooka Bahar Mei,
Be-Dard Apne Saath Woh Yaadein Woh Umeedein Bhi Leta Jaa
Qurbat Mei Humari, Dhokey Ka Naam-O-Nishan Na Tha,
Sang-Dil Apni Chahat Ki Yeh Saugat Bhi Saath Leta Jaa
Tamaam Umar Ke Liye Humei Dil Ka Rogh De Diya,
Malhum Na Sahi Kam Se Kam Zeher Hi Deta Jaa
Jatey Jatey Humari Maut Ka Saaman Bhi Deta Jaa,
Bina Tere Jeena Na-Mumkin Hani Yeh Sada Bhi Sunta Jaa