Khanjar Hath Main Tere, Zameen Per Tadapta Jigar Mera
Nigah-E-Khabiday-E-Ishq Main Yeh Tabeer Nazar Aati Hai
Hudood-E-Kismat Main Teri Zaat Ka Ek Harf Nahi Lekin
Mere Hatoon Main Teri Miti Si Ek Lakeer Nazar Aati Hai
Tere Ghum Ke Haan Ghum-E-Duniya Kya Haisiyat Jaaney
Hamain To Har Ghum Teri Hi Jageer Nazar Aatai Hai
Kharod Kar Cham-E-Dil Jo Kabhi Ulat Ke Deakhtey Hain
Bazar Main Ajab Wirani Ki Bheerd Nazar Aati Hai
Guzar Itifaqn Ho Gulshn-E-Dil-E-Pur Khaaq Se Jis Din
Usi Tareek Modh Pe Padi Rabt Ki Zanjeer Nazar Aati Hai
Dekhain Hain Dastan-E-Ghum Hain Kai Dekhain Hain Per
Sehr-E-Alam Main Apni Dastaan Benazeer Nazar Aati Hai
His-E-Ghum-E-Furqat Se Na Chutey Ke Teri Yadon Ki Tarsh Rui
Mayan-E-Khuld Se Rawaan Mere Aazal Ki Teer Nazar Aati Hai
Mere Dushman To Na Theey Waqif Mere Nakshey Ki Rahoon Se
Es Rehzan Ki Kismat E Mohsin Teri Tadbeer Nazar Aati Hai
Yoon Hi Tarasta Raha Tamam Umer Har Khushi Ko Saqib
Zil-E-Mayoosi Taley Soi Teri Taqdeer Nazar Aati Hai