Khamosiyan Aksar Kai
Sawal Chod Jati Hai
Gumsum Ankho Me Kai
Nazare Chod Jati Hai
Zindagi K Safar Me
Socti Hun Rukhu
Ki Ak Baar Palat K Dekhun
Ki Koi Meri Raah Tho Nahi Dekh Raha Hai
Phir Besbas Hi Tandi
Hawao Ka Jhoka Aata Hai
Kal Jo Mili Thi Gam Ki Dhar
Phir Yaad Dila Jata Hai
Aage Badne Ki
Koshish Karti Hun Tho
Vakt K Bichaye Kanto Ko
Dekh Ankhe Roh Padti Hai
Na Kisi Se Koi Sikwa
Na Mujhme Koi Gum Baaki Hai
Phir Kyun Lab Bigte Hai Ashko Ki Dhar Se
Kyun Reh Jaati Ye Khamoshiyan Hai
Suna Hai Duniyan
Mere Baare Mein Baatein Karti Hai
Kyun Bajti Hai Meri Pyal
Kyun Kan Kan Karti Meri Chudiyan Hai
Nahi Jante Log Mere
Dard-E Dil Ki Data Ko
Baje Chahe Mere Payal Ya Churiyan Hai
Anth Mein Tho Ye Bhi Chod Jati Khamoshiyan Hai
Haan Khamoshiyan Hai