Khamoshion Ka Silsila Barkaraar Reh Jaaye
Wo Yun Mile Ki Milker Dil Bekaraar Reh Jaaye
Ye Kaisa Hizr Ki Jism Se Ruh Juda Lagti Hai
Ye Kaisa Vasl Ki Milker Bhee Intzaar Reh Jaaye
Hizr—Judaai
Vasl—Milan,Meeting
Hai Unki l_Aadat To Gulaam Khushgawaar Rehta Hai
Augar Wo Jaaye To Usske Piche Bimaar Reh Jaaye
Ye Kaisa Vasl Ke Milker Bhee Intzaar Reh Jaaye
I_aadat—To Visit A Sick Person
Ishq Chad Jaaye Ke Phir Lutf Zindgi Mein Aaye
Ye Kaisa Utre Ke Barso Khumaar Reh Jaaye
Ye Kaisa Vasl Ke Milker Bhee Intzaar Reh Jaaye
Khumar–Intoxication, Nasha
Baaten Keh Den To Huzur Gustakhi Samajhte Hain
Baaten Chupa Len To Seene Mein Gubaar Reh Jaaye
Ye Kaisa Vasl Ke Milker Bhee Intzaar Reh Jaaye,
Wo Aa Jaaye Hai To Sukun Dil Ko Haansil Ho
Jo Jaaye To Piche Khawaab-E-Bahaar Reh Jaaye
Ye Kaisa Vasl Ke Milker Bhee Intzaar Reh Jaaye
Zamaane Bhar Ke Bhut Sir Per Chadha Rakhen Hain
Sab Ke Sab Utre.N Per Tera Sawaar Reh Jaaye
Ye Kaisa Vasl Ke Milker Bhee Itnzaar Reh Jaaye
Hume Yakeen Hai Wo Aayenge Chand Lamhon Ke Liye
Baad Marrne Ke Gar Karan Ki Mazaar Reh Jaaye
Ye Kaisa Vasl Ke Milker Bhee Intzaar Reh Jaaye