Khaawbon Mein Rehnaa Achaa Nahii Hai Aadmi Ke Liye,
Barhaa Hum Bahut Kuch Lutaa Dete Hai Zara Si Khushi Ke Liye
Maana Tumko Andherey Mein Rehne Ki Aadat Hai,
Magar Ghar To Naa Jalaao Kisi Ka Zara Si Roshnii Ke Liye
Yahaan Sabhi Ek Dusree Ko Dokhaa Dene Mein Lagey Hain,
Pal Ka Bharosaa Nahii Samaan Ikatha Kar Rahe Hai Zindagi Ke Liye
Gardishey Wakt Mein Hoti Hai Pehchaan Apne Paraaye Ki Jai
Thokar Khaana Bhi Zaroori Hai Aadmi Ke Liye