Khaatin Hai Rah-Guzr, Thori Door Sath Chalo
Bohut Karra Hai Safr Thori Door Sath Chalo
Tamaam Umr Kahaan Koi Sath Dai-Ta Hai
Yeh Jan Ta Hoon Magar Thori Door Sath Chalo
Nashe Mein Choor Hoon Mai Bhi Tumhein Bhi Hosh Nahin
Barra Maza Ho Agar Thori Door Sath Chalo
Yeh Aik Shub Ki Mulaqaat Bhi Ghanimat Hai
Kise Hai Kal Ki Khabr Thori Door Sath Chalo
Abhi To Jaag Rahae Hein Chiragh Rahoon Ke
Abhi Hai Door Sahr Thori Door Sath Chalo
Tawaf-E-Manzil-Janah Hamein Bhi Karna Hai
Faraz Tum Bhi Agar Thori Door Sath Chalo
[Khaatin = Difficult, Hard | Ghanimat = Blessing ]
Juz Teray Koi Bhi Din Raat Na Janay Meray
Tu Kahan Hai Magr Ah Dost Puranay Meray
Tu Bhi Khushboo Hai Magr Mera Tujusus Bekar
Burg-E-Awara Ki Maninth Dikhanay Meray
Shuma Ki Lau Thi Kay Wo Tu Tha Magr Hijr Ki Raat
Dair Tuk Rota Raha Koi Sirhanay Meray
Khalq Ki Bekhabaree Hai Keh Meree Ruswa’ee
Looq Mujh Ko Hi Sunatay Hein Fusanay Meray
Lut Keh Bhi Khush Hoon Keh Ashkoon Se Bhara Hai Daaman
Dekh Gharat Gare Dil Yeh Bhi Khazane Mere
Aaj Ik Aur Burs Beeth Gya Oos Kay Beghair
Jis Kay Hotay Hooay Hotay Thay Zamanay Meray
Kaash Tu Bhi Meri Awaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Saada Ne Mere
Kaash Tu Bhi Kabhi Aajaye Masiha’ee Ko
Loog Aate Hein Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaashi Auroon Ki Turhaan Mein Bhi Keh Sukta
Baat Soon Li Hai Meri, Aaj Khuda Ne Mere
To Hai Kis Haal Mein Aih Zood-Faramosh Mere
Mujh Ko Tu Cheen Lya Aihed-E Wafa Ne Mere
Chara-Gr Yoon Tu Bohut Hein Magr Aeh Jaan-E-Faraz
Juz Teray Aur Koi Zaghum Na Janay Meray
[ Juz Teray = Except You | Chara-Gr = Suitors ]
Tum Bhi Khafa Ho Loog Bhi Burhum Hein Dosto
Ab Ho Chala Yaqin Keh Bouray Hum Hein Dosto
Kis Ko Hamare Hal Se Nisbut Hai Kya Karein
Aankhein To Dushmanoon Ki Bhi Purnum Hein Dosto
Apne Siwa Humaray Na Hoonay Ka Ghum Kise
Apni Talaash Mein To Humein Hum Hein Dosto
Kuch Aaj Shaam Hi Se Hai Dil Bhi Bujha Bujha
Kuch Shahr Ke Chiragh Bhi Mudhum Hein Dosto
Iss Shahr-E-Aarjo Se Bhi Baahar Nikal Chalo
Ab Dil Ki Raunaqein Bhi Koi Dum Hein Dosto
Sub Kuch Sahi Faraz Per Itna Zaroor Hai
Dunya Mein Aise Loog Bauhut Kum Hein Dosto
Teri Bataain Hi Sunanay Aa’e
Dost Bhi Dil Hi Dokhanay Aa’e
Phool Khilte Hein Tu Hum Sochtae Hein
Teray Aanay Ke Zamaanay Aa’e
Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise
Hum Tujhe Haal Sunanay Aa’e
Ishq Tunha Hai Sir-E Munzil-E Ghum
Kaun Yeh Boojh Uthanay Aa’e
Ajnabi Dost Humein Dekh Keh Hum
Kuch Tujhe Yaad Dilaanay Aa’e
Dil Dharakta Hai Safr Ke Hungaam
Kaash Phir Koi Bulanay Aa’e
Ab Tu Rounay Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaid Ab Hosh Thikanay Aa’e
Kya Kahein Phir Koi Busti Ujri
Laug Kyoon Jashun Mananay Aa’e
So Raho Maut Ke Pahloo Mein Faraz
Nind Kis Waqt Na Janay Aa’e
Qurbatoon Mein Bhi Juda’ee Ke Zamaanay Maange
Dil Wo Be-Mehr Keh Roonay Ke Bahaanay Maange
Hum Na Hotay To Kisi Aur Ke Churchay Hotay
Khuqat-E-Shehr Tau Kehnay Ko Fusaanay Maange
Yeh-Hi Dil Tha Keh Turusta Tha Maraasim Ke Lya
Ab Yeh-Hi Turk-E Talug Ke Bahaanay Maange
Zindagi Hum Tere Daghoon Se Rahe Sharminda
Aur Tu Hai Keh Sada Aina Khaanay Maange
Dil Kisi Haal Per Qaanay Hi Nahin Jaan-E Faraz
Mil Gaye Tum Bhi Tau Kya Aur Na Jaane Maange
Lufzoon Mein Fusaanay Dhoondtay Hein Hum