Kehti Hain Billiyaa Billo Say Jaanayman,
Kabhi Socha Hai Hum Kyu Hain Nungay Badan,
Maana K Hum Insano Say Afzal Nahin,
Hum Say Bhi Afzal Nahin Perahan,
Lillah Kuch To Karo Aisay Halaat Mein,
Khatray Mein Hai Ab Jahaan Ka Amn,
Tum Mardo Ki To Hai Fitret Yahi,
Her Jaga Banjaatay Ho Baabay Sukhan,
Yeh Sunna Tha K Billo Say Ek Uthaa,
Kaha Kia Bakti Ho Tum Auntie Jumman,
Na Tum Hoti Naa Hota Yeh Karobaar,
Na Hoti Pareshani Naa Hoti Uljhan,
Na Tum Karti Koi Maahol Peda,
Na Bulaati Hamain Naa Hota Babban,
Hum Khali Thay Duniya K Halaat Say,
Kyu Rakh Chora Halaato Pay Wazan,
Maana K Yeh Wajood Tum Say Hi Hai,
Kia Jaata Jo Paalti Sirf Tension,
Andazay Fitna Parast Tum Ho,
Na Hoti Tum To Hota Amn,
Duniya Nay Hee Diye Barbaadi K Nishaan,
Zarr, Zewarrr, Zameen Aur Zann,
Ab Jao K Gherat Ki Jaga Chashm Hai,
Nahin Hain Hum Mein Louchay K Lacchan