Kehte Hai Mitti Se Bana Hai Har Insaan
Aur Ek Din Issi Mitti Mein Mil Jaayega
Gamon Ki Dhoop Mein Sookh Jaaye Mitti
To Kaun Mitti Se Patthar Na Ho Jaayega
Khushi Ki Chaanv Mein Dhoop Ki Milawat Mili
Harr Riste Mein Jhoote Pyaar Ki Banawat Mili
Gum-E-Dhoop Ki Garmi Mein Tarbatar Hoon
Aisa Lagta Hai Jaise Main Koi Patthar Hoon
Mujhse Dil Na Laga Main To Bas Patthar Hoon
Aaj Zubaan Meri Hai Kaisi Patharaayi Si
Yeh Pathrili Aankh Lagti Hai Neeli Neeli Si
Lal Doriyon Ka Samunder Theher Gaya Aise
Gamon Ka Pyala Bhar Ke Chalak Gaya Jaise
Na-Jaane Kaun Se Gunaah Ki Mil Rahi Hai Saja
Kya Kahe Kya Hai Yun Patthar Hone Ki Wajah
Yehi Sawaal Hai Jispar Mein Niruttar Hoon
Aisa Lagta Hai Jaise Main Koi Patthar Hoon
Mujhse Dil Na Laga Main To Bas Patthar Hoon
Neele Gagan Ko Ek-Takk Dekha Karti Hoon
Panchhi Ki Tarah Udne Ki Khwaish Karti Hoon
Kabhi Reit Par Tikk Jaati Hai Khaali Si Nazar
Badkismati Par Chalta Nahin Ab Koi Bhi Asar
Udd Jaana Chahti Hoon Khule Aasmaanon Mein
Ya Reit Si Simat Jaaun Kahin Dhalaanon Mein
Kya Main Is Bikhri Reit Se Bhi Battar Hoon
Aisa Lagta Hai Jaise Main Koi Patthar Hoon
Mujhse Dil Na Laga Main To Bas Patthar Hoon