Kehta Hain Dekhta Hu Jab Bhee Main Neeche,
Sochta Hun Kis-Se Hain Iss Zamin Ko Seenche.
Laal Lahu Kee Nadiyaan Kahii, Banjar Zamin Veerani,
Kaise Dekhu Yeh Sab, Bas Reh Jaata Hu In Ankhiyon Ko Meenche.
Naa Jane Kiski Nazar Ne Hai Is Jag Ko Maara.
Yaara O Yaara, Dekho Woh Taara…
Kuchle Hue Phool Hai Kahi, Dabi Hui Khamoshiyan,
Bujhi Hui Laashein Hai Kahi, Jali Hui Parchhayiyan.
Cheekhein Hawaon Mein Yu Ghuli Hui Hai, Vakta Hai Thehra Hua,
Angarein Nikalti Talvaarein Hai, Kahi Dard Ki Chingariyan.
Kyu Hai Aisi Yeh Duniya, Kyu Koi Kisi Ka Nahi Sahara?
Yaara O Yaara, Dekho Woh Taara…
Kabhi Daaliyon Pe Jhulon Ki Katare Thi Jahaan,
Aaj Sukhe Patte Bhi Nahi Dikhte Hai Wahaan.
Kabhi Saawan Yu Barasta Tha, Ke Ret Mein Bhi Phool Khil Jate The,
Ab Ret Kya Khet Bhi Ban Gaye Hai Shamshaan.
‘Sushil’ Mat Lado Itna, Mai Toh Door Ekk Taara Par Yeh Jag Hai Tumhara..
Yaara O Yaara, Dekho Woh Taara