Keesmat Ne Kuch Khel Hee Aise Khele
Is Bhari Duniya Mein Reh Gaye Hum Tanhaa Akele
Jab Se Tu Chod Gai Hame Sangdil
Sune Pade Hain Jhule Sune Ho Gaye Duniya Ke Mele
Har Waqt Tanhai Mein Tu Hi Yaad Aati Hai
Fir Yaad Bahut Aate Hain Wo Mausam Albele
Kaise Bool Jaun Un Vadon Ko Un Iradon Ko
Aaj Bhi Palte Hain Meri Aankhon Mein Kuch Sapne Sajile
Kabhi Jhank Kar Dekho Meri In Aankhon Mein To Janogi
Rakhte Hain Apni Aankhon Mein Hum Bhi Ashqon Ke Samundar Neele
Par Ye Bhi Kaise Bhool Jaun Tu Hi To Wo Sakhs Hai
Jisne Chubhai Hain Mere Dil Pe Bewafai Ki Kilein
Ese Mein Bhi Dekh ‘Farha’ Yahi Dua Hai Rab Se
Ek Baar Tumse Mila De Fir Bhal Hi Meri Jaan Le Le