Kayi Khwab-O-Armaan Dil Mein Mukaam Paane Ko Taras Gaye,
Hum Zamane Ko Sudhaarne Kaa Ekk Kaam Paane Ko Taras Gaye,
Hum Hii Mein Kuch Kami Thi,Jo Pyaar Karke Bhii Naa Kar Paye,
Aisa Aghaaz-E-Ishq Hua Kii Anjaam Paane Ko Taras Gaye,
Suna Tha Pyar Jataane Ke Liye,Tamaam Umr Kam Pad Jati Hai,
Mat Poocho Yaaron Hum To Unki Ekk Shaam Paane Ko Taras Gaye,
Tarsa-Tarsa Ke Khuda Bhi Na Jeene De Na Hi Marne De,
Inteha Ho Gayi Hum Maut Ka Paigaam Paane Ko Taras Gaye,
Pyaar Hi To Kiya Tha Koi Chori To Nahi Kii Thii,
Saath To Chhodiye Thodi Si Izzat Sar-E-Aam Paane Ko Taras Gaye,
Is Bedard Duniya Mein Bhool Gaye,Hum Bhi To Insaan Hain,
Insaan Ko Haq Mein Di Khushiyaan Tamaam Paane Ko Taras Gaye,
Sapne Dekhe The Ki Hum Kabhi To,Shaan-E-Jahaan Banenge,
Iss Zaalim Zamaane Me Chhota Sa Naam Paane Ko Taras Gaye,
Thak Chuki Hai [Color=sea Green]‘kasak’[/color] Ab Duniya Ke Falsafe Samajhne Me,
Waqt Ki Daud Me Hum Pal-Bhar Ka Aaraam Paane Ko Taras Gaye