Kavita Ka Koi Roop Samjh Mein Nahi Aata Hain
Bilkul Kisi Behti Nadi Ki Tarah Chanchal Hain Kabhi
To Kabhi Kisi Tehre Pani Ki Tarah Shant Hain
Kabhi Itna Ucha Hota Hain Kad Iska
Ke Har Cheeze Choti Nazar Aati Hain
To Kabhi Nanha Sa Bachcha Bhi Ise Chu Leta Hain
Rehti Hain Hum Sab Ke Andar
Lekin Har Koi Ise Pehchan Nahi Pata Hain
Kabhi Gaur Se Suno Tum Apne Andar Chupi Kavita Ko
Ma Jab Bachche Ko Dularti Hain Woh Kavita Hain
Sajni Jab Sajan Ko Pukarti Hain Woh Kavita Hain
Masoom Bachpan Jab Totli Zuban Mein
Kuch Bolta Hain Woh Kavita Hain
Kabhi Krodh Me Kabhi Virodh Me
Kranti Kavita Hi To Lati Hain
To Kabhi Bina Kuch Kahe Bohat Kuch Keh Jati Hain
Kavita Jeevan Ka Aadhar Hain Buniyad Hain
Jo Likha Hai Maine Maano To Kavita Na Mano To Bas Likha Hua
Baat Kavita Ki Nahi Baat Teri Aur Meri Samaj Ki Hain
Achchi Hain Ya Buri Hain
Har Cheeze Kavita Se Judi Hain
Har Cheeze Kavita Se Judi Hain.