Kash Main Ek Takiya Hota Raat Raat Baar Unke Saath Sota
Woh Gale Se Lagake Rakti Mujhe
Unki Ankhon Se Ghirte Ansuon Ka Main Chokidar Hota
Kash Main Ek Kitab Hota Unke Kimti Waqt Ka Haqdar Hota
Bant Deti Woh Apni Sari Zindagi Mere Saath
Kismat Hoti Meri Ke Unke Har Raaz Ka Main Raazdar Hota
Kash Main Ek Badal Hota
Khuda Ke Ansu Ponchane Ke Ek Zariya Hota
Bheega Deta Duniya Ko Barish Ki Bundon Se
Bhale Sab Mujse Nafrat Karte Par Pedon Ke
Liye Toh Main Ek Farishta Hota
Kash Main Parinda Hota Khule Asmaan Ka Malik Hota
Dhur Rehta Main Inn Gunehgaron Se Bhari Iss Duniya Se
Kismat Hoti Meri Ke Pyar Ke Sandesh Ponchane Wala Main Ek Paigambar Hota