Kash Khone Se Pahale Tujhe Pa Leta,
Agar Gam Ka Saya Mere Kareeb Na Hota,
Jillat Mahsoos Kar Raha Hoon Apne Hi Dil Mein,
Kash Aisa Din Phir Zindagi Mein Doobara Na Aata,
Khud Ko Hi Manaun Ya Khud Se Hi Rooth Jaun,
Ye Dard E Zindagi Ka Fasana Samajh Nahi Aata,
Agar Mile Khuda Tu Mujhse Hi Mere Dil Mein,
Mujhe Yakeen Hai Mera Dard Tujhe Samajh Nahi Aata,
Zindagi Rok Doon To Wo Jiyegi Kis Tarah,
Wafa Ka Nazarana Hai Varna Tujh Mein Kho Jata,
Kya Khata Hui Ay Zindagi Mujhse Tu Bata,
Hissa Meri Khushiyon Ka Mere Paas Kyun Nahi Aata,
Kalank Laga Ye Daag Ab Nikalega Kaise Tu Bata,
Kya Meri Wafa Bhari Zindagi Ka Tujhse Hai Nahi Nata,
Teri Kasam E Khuda Agar Kisi Aur Ko Niharu Apani Najaro Se,
Ye Saanson Ka Rutba Isi Waqt Ruk Jata,
Kya Tujhe Khabar Hai Mere Gam Ki Ya Tu Banane Ki Koshish Kar Raha Hai Tu,
Sabab Hai Meri Zindagi Ka Varna Tujhe Bhi Chhod Jata,
Khwahish Hai Uska Hoon Usi Ka Hi Rahunga,
Par Meri Wafa Aur Zajbat Tujhe Samajh Nahi Aata.
By Gopal Bagani