Kareeb Tha To Kaha Hum Ne Bewafaa Bhi Usse
Us “Shakhs” Ke Bina Zindagi Adhuri Kyoun Lage
Naa-Bino Ke Saher Me Woh Aaina-E-Farokht Raha
Phir Aaj Bhi Woh Ajnabi Apna Sa Kyoun Lage
Iss Daur Zulm-O-Jaur Mein Is Be-Basi Ke Saath
Hum Sang-Dilon Ke Dil Mein Woh Rehnuma Saa Lage
Haathon Mein Liye Sang Saza Soch Rahe Hai Woh Aaj
Aise Hi Us Shakhs Ke Liye Haathon Me Khanzar Kyoun Saje
Naa-Muraad, Be-Hiss Se Yeh Loga Aaj Hai Kal Nahi
Mujhe To Yahan Pesh Hota Har Qalaam Bewajah Saa Lage
Naa Kaafiye, Naa Radif, Naa Hi Mishre, Naa Rubaaii Kaa Ilm
Fir Bhi Yahan Phirta Har Wajood Bejubaan Saa Lage
Ek Dhong, Ek Mazak Si Rachi Jaati Hai Roz B Roz
Naye Naye Chehre Sajaye Har Ins Mehfil Me Aata Lage