Kambakht Dard-E-Dil Dil Se Mitaane Ke Liye
Koi Wajah Nahin Miltii Muskuraane Ke Liye
Dushmano Ki Shakl Le Ke Laut Aaye Hain
Maine Dost Bheje The Unko Bulaane Ke Liye
Har Soorat Mein Aapka Chehra Dikhaai De
Ab Kya Karun Main Aapko Bhulaane Ke Liye
Hum Apno Ki Nigaah Mein Begaane Ho Gaye
Tere Dil Mein Thodi Si Jagah Paane Ke Liye
Mere Haathon Ki Lakeeron Ne Mujhko Bataya
Paidaa Hua Hun Aansu Main Bahaane Ke Liye
Patthar Ka Kalezaa,Paani Ki Nigaah Chahiye
Zakham-E-Ishq Seene Se Lagaane Ke Liye
Saara Zamaana Chhorra Hum Ne Aapke Liye
Dil Todaa Hamaraa Aapne Zamaane Ke Liye
Meri Tasveeron Ko Lagaa Rahe Hain Aag Ab
Bachaa Nahin Koi Khat Mera Jalaane Ke Liye
Chhorr Dijiye , Mere Sanam Ko Jaane Dijiye
Tayyaar Hun Main Apna Sar Jhukaane Ke Liye
Ruk Jaate Agar Main Aasma.N Ki Minnat Kar Leta
Tumhari Maang Ko Sitaaron Se Sajaane Ke Liye
Do Aansu Palkon Pe Hain Do Daag Jigar Mein
Mere Paas Aur Kuch Nahin Chhupaane Ke Liye