Kama L-E-Zabt Ko Khud Bhee To Aazmaoon Gi
Mein Apne Hathon Se Us Ki Dulhan Sajaoon Gi
Sapurd Ker Ke Usey Chandni Ke Hathon
Mein Apne Ghar Ke Andairon Ko Laut Aoun Gi
Badan Ke Karb Ko Woh Bhee Samajh Na Paye Ga
Mein Dil Mein Ro’oon Gi, Aankhon Mein Muskaroon Gi
Woh Kaya Gaya Ke Rafaqat Ke Sare Lutf Gae
Mein Kis Se Rooth Sakoon Gi, Kise Manaoon Gi
Woh Eik Rishta-E-Be-Naam Bhee Nahi Lekin
Mein Ab Bhee Us Ke Isharon Pe Sar Jhukaoon Gi
Bichha Diya Tha Gulabon Ke Sath Apna Wajood
Woh So Ke Uthey To Khawabon Ki Rakh Uthaoon Gi
Jawaz Dhoond Raha Tha Nayi Muhabbat Ka
Woh Keh Raha Tha Ke Mein Us Ko Bhool Jaoon Gi