Kal Tak Jugnoo Baste The,Aankhon Mei Aaj Sirf Paani Hain,
Kore Panno Kii Kitaabi Ye Teri-Meri Prem Kahaani Hain,
Teri Bewafaai Ko Jaise Ekk Umr Si Ho Chali Hain Par,
Zehen Me Mere Teri Mehek Aaj Bhi Jaani-Pehchaani Hain,
Tere Hone Se Mera Husn Har Nayi Subah Sa Khilta Tha,
Aaj Har Dhalti Hui Shaam Ke Saath Dhal Rahi Meri Bhi Jawaani Hai,
Jism-O-Rooh Gar Daga Dete,To Kabhi Mujhe Shayad Gham Na Hota,
Par Tune Mujhe Daga Di Is Baat Ki Mujhe Hairaani Hai,
Sunta Hi Kab Tha Mera Khuda,Jo Aaj Guhaar Kar Chillaun,
Manzilein Apni Judaa Hain Sab Uski Hi To Meherbaani Hai,
Meri Khwahishon Se Khelne Me Jaane Use Bhii Kya Tasalli Hai,
Aaj Ekk Ummeed Mar Gayi Kal Yuhi Doosri Bhi Mar Jaani Hai,
Tere Liye Kya Maangu,Ab Sirf Khud Ka Khayaal Raha Hai Mujhe,
Izzat Apni Khoyi Hui Mujhe Bhi To Ghar Waapas Laani Hain,
Beshak Tu Jaa Mujhe Chhod Ke,Par Un Haseen Yaadon Ko Naa Chheen,
Wo Yaadein Hi To Bachi Hain Jo Teri-Meri Mohabbat Kii Nishaani Hai