Kal Hamesha Ki Tarha Uss Ne Kaha Ye Phone Per
Main Bohut Masruf Hun Mujh Ko Bahut Se Kaam Hein
As Liye Tum Aao Milne, Main To Aa Sakti Nahi
Har Rawayet Tor Ker As Baar Main Ne Keh Diya
Tum Jo Ho Masruf To Main Bhi Bahut Msruf Hoon
Tum Jo Ho Mash`Hur To Main Bhi Bahut Ma`ruf Hoon
Tum Agar Ghamgeen Ho Main Bhi Bahut Ranjur Hon
Tum Thakan Se Chur To Main Bhi Thakan Se Chur Hon
Jan-E-Man Hai Waqt Mera Bhi Bahut Hi Qeemti
Kuch Purane Doston Ne Milne Ana Hai Abhi
Main Bhi Ab Farigh Nahi Mujh Ko Bhi Lakhon Kaam Hain
Warna Kehne Ko To Sb Lamhe Tumhare Naam Hain
Meri Ankhein Bhi Bohat Bojhal Hein Sona Hai Mujhe
Rat-Jagoon Ke Baad Ab Neendon Main Khona Hai Mujhe
Main Lahu Apni Anaon Ka Baha Sakta Nahi
Tum Nahi Aateen To Milne Main Bhi Aa Sakta Nahi
Uss Ko Ye Keh Ker Wasi Main Ne Receiever Rakh Diya
Aur Phir Apni Ana Ke Pawon Pe Sar Rakh Diya