Kaisi Mushkilaat Say Do Chaar Hua Zindage Ka Safar
Na Manzil Ka Koi Nishaan Na Rastey Ki Kuch Khabar
Umeed Main Jeeay Ja Rahay Kay Koi Humsafar Mailay
Mehsoos Ho Raha Subhi Duaain Hueen Bay Asar
Saaya Bhi Kho Gaya Hay Jis Ko Talash Kertey
Hum Khud Bhi Kho Gaye Hain Tareek Rah Per
Aik Khouf Ka Hay Alam Hay Baykhudi Si Taari
Nazroon Kay Samnay Hay Ujra Hua Sa Khandar
Ruktey Nahin Musafir Sar-E-Rah Hoon Jitnay Pather
Shab Ki Musafatoon Pay Hay Her Qadam Pay Thokar
Anjaam Dey Rahay Shaiki Shouq Shayri Ka
Aatish Kada Hay Dil Main Or Dikh Rahay Samander