Kaise Sunaau Apne Gam Ki Kahani..
Meri Ankho Se Hi Par Lo Na..
Himmat Nahi Hai Mujh Me Ki…
Jakhmo Ko Shabdo Me Dhaal Du…
Kaise Sametoo Dil K Un Turkro Ko…
Jo Bikher Bikher K Chubh Rahe Hai Bar Bar…
Kya Sameta Hai Kisi Ne Kabhi…..
Apna Hi Bikhra Hua Lahoo…?
Toot Kar To Kabhi Koi Cheez Banna Na-Mumkin Hai…
Fir Kaise Du Aakaar Apne Lafzo Ko…
Lafzo Ke Taar Toot Gaye Tum Tak Jazbaat Sunaane K Liye
Hoth Sil Se Jaate Hai Tumhe Haal Sunaane K Liye…
Kashmokash K Toofa Me Meri Zindgi Fasi Hai..
Andheri Toofani Raato Me Kahi.N Chamakti Bijli Bhi Nahi Hai..
Raahe Nazer Door Tak Kahi.N Aati Hi Nahi Hai..
Din-Raat Mera Dil U Hi Roya Karta Hai….
Jazbaato Ka Toofan U Hi Chala Karta Hai….!!
Bethe Raho Mere Paas…
Mere Gam Kam Ho Jaayenge.
Hoth Sile Rahenge Magar
Dil Apni Kahani Ankho Se Keh Jaayenge..
Tum Samajh Loge Ye Yaki.N Hai Mujhe.
Aankho K Kinaro Ko Tor Kar..
Kabhi To Gam Nikal Aayenge..
Dete Rahoge Agar Saath To..
Shabdo K Taar Bhi Shaayed Jur Jaayenge…!!
Baithe Raho Mere Paas…
Mere Gam Kam Ho Jaayenge..!!