Kaise Kab Tak Kis Tarah Main Zindagi Jeeta Raha
Baat Aur Jazbaat Mein Har Waqt Ko Jeeta Raha.
Kaise Simta Mera Bachpan Dekhkar Haiiraan Hoon
Kal Jawaani Se Lipat Main Shaam Tak Rota Raha.
Jeevan Ko Maine Jo Jiya Panchi Ke Sang Urrta Mila
Uske Parron Ka Takiya Ban Main Raat Bhar Sota Raha.
Sookhi Tehni Pedh Ki Mujhko Jhulaati Reh Gayi
Apney Adhoorey Geet Uss Per Baiith Main Gaata Raha.
Ik Shiqaayat Ka Pulinda Dastakein Deta Raha
Usko Kissa Maankar Main Ansuna Karta Raha.
Pyaas Mein Majboor Ummidein Sadak Per So Gayi
Jaane Kyon Bauchaar Se Main Is Qadar Jalta Raha.
Mozey Fatey Se Hain Mere Bazar Mehngey Ho Chaley
Jeb Ko Apni Kalam Se Main Sada Silta Raha.
Majdoor Ban Main Dhoop Mein Manzil Sajaata Reh Gaya
Haathon Ke Chaaley Dekh Bhooka Pet Bhi Darta Raha.
Aaj Bhi Aakaash Ko Taktaa Hoon Aadhi Raat Mein
Chaand Ko Roti Samajh Main Khud Ko Bhi Cchalta Raha.
Bhookey Pyase Jism Mein Sab Sookhney Ko Ho Chala
Bas Ek Hee Aansoo Ko Saari Raat Main Taltaa Raha.