Kaise Guzre Woh Pal Yaad Nahi
Abb Tera Sath Mere Sath Nahi
Tujhko Yaad Karoon Ya Rooan Apni Bebasi Pe
Abb To En Kandhoon Ko Honsla Dete Woh Hath Nahi
Har Pal Tera Chera Rehta Hai En Ankhaon Mai
Abb To Noore Mojasim Mai Bhi Lagti Woh Baat Nahi
Sochta Hoon Kaash Tu Vapas Ajayee Ek Karishme Ki Tarah
Per Lade Fitrat Se Ya Khud Se Hume To Karishme Pe Kabhi Etimaad Nahi
Sunta Hoon Woh Shoor Samnder Ka Jise Sunte The Sath Hum
Abb To Us Analbaher Mai Dekhte Lahroon Ke Jazbaat Nahi
Ansoon To Behte Nahi Per Rooh Ander Hi Roti Hai
Apne Pyaar Ka Mere Pass Koi Isbaat Nahi
Har Arzoo Ki Kasak Dil Mai Dabtii Hai
Hayaat Ho Ya Wafaat Abb To Kisi Baat Ki Ihtiyaat Nahi
Kaise Bhooloon Woh Raza-Ae-Ada Teri Zaat Ki
Abb To Tere Siva Kisiko Zarbaat Karne Ki Taa’aat Nahi
Kaise Jaoon Anjuman-Ae-Aakhir Mai Ae ‘Yasir’
Abb To Meri Wafaaat Ke Baad Ansoon-Ae-Barsaat Nahi