Kaise Aage Badhe Hum Jab
Manzil Hi Hamari Kahin Peeche Thahar Gayi
Gazur Rahe Thae Jab Uske Paas Sae
Na Usne Roka, Naa Usne Awaz Di, Sirf Khamoshi Reh Gayi
Dekha Tha Usko Door Jaate Hue Maine,
Ghard Bhi Uski Rah Se Hathai Thi Maine,
Kya Uski Saza Mujhe Milegi Baar Baar
Aisi Bhi Kya Khata’on Ki Kadi Banayi Thi Maine
Gehre Kahin Chot Hui Hai Mere,
Gehrai Itni Gehri Ki Ankhon Sae Wo Ojhal
Dekhe Jo Mera Dil Bhi Jo Gehra Mere Itna
Na Milegi Usko Bhi Woh Mayus Si Halchal
Itna Bikhra K Pani Logo Ne Samajh Liya
Jaise Chaha Waise Bahaya Mujhko
Jab Aas Jaati Rahi Mere Wajood Ki
Jhat Sae Raah Badal Muh Fer Liya
Mere Pehnaave Ko Mera Dil Samajha Kisi Ne
Na Uski Dhadkano Ka Khayal Kiya Kisi Ne
Tadap Tadap Ke Dhadak Rahi Thin
Zindagi Ka Unhe Dooja Ayaam Samjha Kisine
Saza Maine Payi Thi Per Gunehgaar Toh Nahin
Beh Ke Sukhe Ashq Baar Baar
Inka Koi Kahin Bhi Parastar Toh Nahin