Kaisa Hai Aort Ka Rona
Uska Dabe Jazbaat Men Khona
Dukhi Hokar Jab Woh Roti Hai
Aahon Ke Khanjar Chubhoti Hai
Siskiyon Men Dard Ko Seenchti Hai
Koi Pathar Ho Kitna Bhi
Maom Ki Tarah Pighla Deti Hai
Qaatil Hain Aorat Ki Siskiyaan,
Jab Leti Hai Ruk Ruk Kar Hichkiyaan.
Aankhon Men Bhara Sailaab
Ashkon Ki Ladiyaan Jab Tapkaati Hai,
Ek Dukh Nahin
Saare Zeest Ke Gham Us Men Samaati Hai,
Kuchh Aisi Taaqat Hai Uske Ashkon Men,
Khud Roti Hai Jab
Saath Saari Duniya Ko Bhi Rulaati Hai.
Ro Ro Kar Sulag Jaayen Uski Ankhiyaan,
Ghor Lal Jaise Nikal Rahi Hon Chingaariyaan.
Jin Baaton Men Bebas Ho Jaati Hai,
Tab Aankhon Men Uske Nami Aajaati Hai,
Aor Khud Ko Rok Na Paati Hai,
Phir Bebasi Ke Aalam Ko Ro Kar Hi Sunaati Hai.
Kaisi Hain Iski Bebasiyaan,
Kitni Hain Iski Majbooriyaan.
Yeh Maloom Nahin Shaayad
Kyun Aort Dard Ko Chhupaati Hai,
Aqal Men Aayegi Kaise Yeh Baat
Haya Aor Sharam Hai Uski Zaat
Is Liye Dukhon Ko Aansuon Men Nahlaati Hai,
Aor Dafan Kar Deti Hai Kai Raaz
Dekar Apnon Ko Khushiyaan Khud Fana Ho Jaati Hai.
Baant Kar Behisaab Khushiyaan,
Bhool Jaati Hai Kyun Apni Barbaadiyaan
Deti Jaati Hai Kyun Itni Qurbaaniyaan?