Kaisa Dhuwan Dhuwan Sa Ura Ja Raha Hoon Main
Duniya Pe Asman Ki Trah Chaa Raha‚  Hoon Main
Ik Din Balandiyon Se Main Dekhoon Ga Ye Zameen
Jeene Ki Arzoo Main Mara Jaa Raha Hoon Main
Aati Hey Mout Jis Tarah Tu Roz-O-Shab Qareeb
Yoon Rafta Rafta Tere Qareeb Aa Raha Hoon Main
Bethey Raho Ge Bazi-E-Ishaqe Tamam Tak
Simtee Hoee Bisaat Ko Phela Raha Hoon Main
Nazuk Laboon Ko Woh Tera Hoontoon Se Daabna
Bas Is Adaa Pe Teri Mitta Jaa Raha Hoon Main
Awaz Dab Gayee Kaheen Insaan Ki Cheekh Main
Insaniyat Ka Lafz Hi Mitwa Raha Hoon Main
Pukara Gaya Hoon -ŗburq- Main Loh-E-Zameen Se
Kuch Dair Ghan Garaj Le Too Aa– Raha Hoon Main