Kai Baras Huve Har Subha Raat Ko Dhoonda
Kai Baras Huve Palkon Ko Jaagte Huve Moonda,
Kai Baras Huve Ham Roj Ye Dohraate Rahe
Subhon Ke Haadse Yaad Karke Raaton, Ham Khudko, Sula Bhi Na Sake,
Kai Baras Huve-Â…
Hamne Koshish To Ki Muskurane Ki
Apne Har Gam Se Bhi Ubar Paane Ki
Haalaat Eise Bane Khulke Kabhi Hansna Na Hua
Har Nazar Ham Pe Thi Ye Soch Kar Nigaahonko, Bhiga Bhi Na Sake
Kai Baras Huve
Na Jaane Kis-Kis Ne Pukaara Hame In Raahon Me
Na Jaane Kis-Kis Ko Nakaara Hamaari Aahon Ne,
Jindgi Hanske Bulaati Bhi Rahi Hamko Magar
Apne Zakhmon Me Thi Nahi Abtak, Kuchh Or Hausla, Juta Bhi Na Sake,
Kai Baras Huve-Â…
Ham To Samjhe The Ke Safar Chhota Hai,
Saamna Kab Or Kahaan Phir Se Hota Hai,
Ye Jindgi Gujar Hi Jaaeygi,Wo Tasweer Utar Hi Jaayegi
Raah Me Wo Nazar Aate Hi Rahe Or Ham Kuchh, Bhula Bhi Na Sake,
Kai Baras Huve-Â…
Ham Bat.Tiyaan Bujh Jaane Ka, Intzaar Karte Rahe
Bheed Se Bachhte Rahe, Tanhaaein Me Chalte Rahe,
Ham Ye Samjhe The Ke Chhup Jaaye Ye Shakshiyat Apni
Gum Na Ho Paaye..Ham Apni Aag Me Daagon Ko, Chhupa Bhi Na Sake,
Kai Bars Huve-Â…
Ham Bhatakte Hi Rahe..Is Aasmaan Me Ek Umr Hui
Sardiyaan Garm Hui, Or Garmiyaan Baras Bhi Gai,
Ye Chaand Eisa Utha Is Jameen Ke Ghare Se
Ye Mausamon Ke Her-Pher Bhi Iske Seene Me Kuchh, Uga Bhi Na Sake,