Kahin Koi Chain Ki Neend Sota Hai
To Koi Raat Bhar Rota Hai
Koi Har Ghante Bhookh Mitata Hai
To Koi Mutthi Bhar Khane Ko Tarash Jata Hai
Kahin Koi Padhna Seekhta Hai
To Koi Maar Kha Dard Me Cheekhta Hai
Koi Har Shaam Kawalli Sunta Hai
To Koi Subah Shaam Gali Sunta Hai
Kahin Kabhi Kalam Sambhalti Hai
To Kahin Bandook Chalti Hia
Koi Aalishan Mehlon Me Chehekta Hai
To Koi Futpath Par Sisakta Hai
Kahin Kalptaru Se Har Armaan Pore Hote Hain
To Kahin Armaan-Aarzooansoon Me Jalte Hain
Koi Makhmal Ke Kapre Me Nikalta Hai
To Koi Nange Badan Hi Chalta Hai
Kisi Ke Yahan Gariyaan Chalti Hain
To Kisi Ki Mushkil Se Hi Nariyaan Chalti Hyain
Jab Hum Sabko Ek Hi Bhagwan Ne Banaya Hai
To Sabka Khushi Aur Gam Ka Hissa Barabar Kyon Nahi Aaya Hai