Kahin Daraar Na Pad Jaye Apne Rishtay Mein
Isi Khayal Se Main Tujhko Aazma Na Saka
Labon Par Jhooth Ke Moti Sajaye Magar
Nazar Me Tairti Sachchaiyan Chhupa Na Saka
Bus Itni Si Baat Par Naraz Ho Gaya Mujhse
Main Uske Waaste Apna Makaan Jala Na Saka