Kahien Sang Main Bhi Hai Roshnii Kahien Aag Mein Bhi Dhuaan Nahii
Yeh Ajeeb Shehar E Talism Hai Kahien Aadmii Ka Bhi Nishaan Nahii
Na Hii Is Zameen Key Naseeb Mein Na Hii Aasmaan Key Farz Mein
Katii Umr Is Ko Talaashtey Jo Kahien Nahi Par Kaha Nahii
Yeh Jo Zindgaani Ka Khail Hai Gham O Inbasaat Ka Maile Hai
Usey Qadr Kya Ho Bahaar Kii Kabhi Dekhii Jis Ney Khizaan Nahii
Wo Jo Kat Marey Par Na Jhuk Sakey Jo Na Maqtalon Sey Bhi Ruk Sakey
Koii Aisa Sar Nahii Dosh Par Kisi Moun Mein Aisi Zubaan Nahii
Jo They Ashk Main Ney Wo Pee Kiye Lab E Khushk Sokhta See Liye
Meray Zakhm Phir Ayaan Rahey Mera Dukh Phir Bhi Nehaan Nahii
Nahii Is Ko Ishq Sey Waasta Wo Hai Aur Hii Koii Raasta
Agar Is Mein Dil Ka Lahoo Nahii Agar Is Mein Jaan Ka Ziya Nahii