Kahi Kabra‚  Kahi Khun Se Lipta Khanjar Nazar Aata Hain
Aye Khuda Jab Is Duniya Ko Dekhta Hoon
Laasho Pe Bana Hua Khandar Nazar Aata Hain
Kahi Aasoon Kahi Dard Aachal Banke Lehrata Hain
Aye Duniya Banane Wale Aaj Yeh Aalam Hain
Kahi Maa Aur Kahi Behno Ki Aakhon Se
Paani Behta Nazar Aata Hai
Kisi Ki Raakhi Tooti
Aur Kisne Khoya Sindoor
Kisiki Ki God Ujad Gayi
Aur Kisine Khoya Apna Yaar
Kab Tak Chalega Yeh Apno Ko
Apno Se Door Karne Ka Nazaraa
Challo Sab Ek Ho Jaaye
Tumhein Insaaniyat Ne Pukaara
Sarhadon Pe Khoon Ki Holi Kyun Kheli Jati Hai
Jab Ki Ek Hai Diya Aur Duja Baati Hai
Itni Choti Si Baat Zehan Meindaalo Mere Yaar
Ke Mohabbat Hi Woh Ajaam Hai
Jahaan Band Hoga Lashon Ka Bazaar