Kahe Koi Kuchh Bhi Humko Zamane Se Kiya
Matlab Hai Tujhse, Kisi Ke Fasane Se Kiya
Naaz Tha Jiski Dosti Par Umr Bhar Humein
Tarq-E-Ta’aaluq Karke Ab Nibhane Se Kiya
Milti Nahi Hai Doston Ki Dosti Humesha
Ab Aur Usko Yeh Baat Samjhane Se Kiya
Baarha Kiya Aitraaf Magar Nahi Yaqeen
Tujh Ko Phir Wohi Baat Batane Se Kiya
Taskeen Mile Na Ho Tabiyat Rangeen Jis’se
Saaz Woh Zindagi Ka Ab Bajane Se Kiya