Kahan Ye Bus Mein Ke Hum Khud Ko Hosla Dete
Yehi Bohut Tha Ke Her Ghum Pe Muskera Dete
Hawa Ke Door Ulajhti Jo Ungliyon Say Kabhi
Hum Aasman Pe Tera Naam Tak Saja Dete
Humare Aks Main Hoti Jo Zakhm-E-Dil Ke Jhalak
Hum Aynay Ko Bhi Apni Terha Rula Dete
Humain Bhi Jo Roshniyon Pe Dastras Hoti
Kabhi Cheraagh Jalate, Kabhi Bujha Dete
Humaray Paon Hawaon Ke Zad Main Thay Werna
Guzerti Umer Ko Ruk Ruk K Hum Sada Dete
Ab Is Ke Yad Say Us Ka Badan Terashtay Hain
Woh Khuab Bhi To Na Tha K Hum Bhula Dete
Is Waste Mohsin` Kahi Hai Taza Ghazal
Hum Us Ke Salgirah Pe Ab Aur Kia Dete