Kah Do Is Dil Pe Wo Ab Aur Sitam Na Dhae
Deewana Kahin Is Gham Me Ghut Ke Na Mar Jae
Chup Chup Ke Jo Banaya Tha Sapno Ka Aashiyana
Uski Berukhi Se Dar Hai Kahin Toot Ke Na Gir Jae
Uske Sitam Ki Intehaan Main Kya Bataun Yaron
Jhalak Bhi Na Dikhae Aur Khabon Me Bhi Aa Jae
Maana Ki Charche Bade Hain Unke Husn Ke Ya Rab
Wo Rubaru Gar Aaen To Wo Aaina Bhi Chatak Jae
Hai Charcha Shahar Me Shaad Ki Kalam Ke Khudaya
Ye Hunar Na Aane Paae Ki Dil Use Hi Bhool Jae