Kagaz Ki Kashti Si Zindagi Meri Tufaan-E Samundar Mein
Na Sahil Hai Na Sakun Is Tuffan Mein
Bas Baatein Hoti Ja Rahi Hai Surraj Aur Chaand Se
Gar Bana Sakte Ghar Is Tuffani Lehro Per
To Ek Ashiyaa Hamara Bhi Hota
Khudrat Agar Karti Is Dil Per Karam
To Ek Lamha Hamara Bhi Hota
Kab Tak Intezar Kare Sahil Tak Jaane Ki
Kabhi Sachai Ki Dhuup Chubti Hai Nighao Mein
Kabhi Rasta Dhundla Lagta Hai Majbuurio Ke Andhere Mein
Bas Ji Rahe Hai Aalah Teri Ek Dua Per
Warna Jal Hi Chuke The Waqt Ke Sholo Per