Kabra Per Meri Woh Shama Jalate Rahe,
Mout Per Yuin Hi Woh Dil Behlaate Rahe.
Roundh-Ker Har Khwaiish Meri Panv Tale,
Be-Basi Per Yuin Hi Woh Muskrate Rahe.
Ashquon Ki Thi Tapish Jo Meri Kabra Per,
Un Se Apne Zakhm Hi Sehlate Rahe.
Ye Soch Ker Ki Aakhiri Saya Tha Main,
Woh Toh Sar Per Mout Se Mandrate Rahe.
Ab Kabra Mein Bhi Neend Mujhe Ati Nahin,
Ik Umra Se Kisse Jo Hum Chhupate Rahe.