Kabhi To Khulke Milo Hamse Har Kisi Ki Tarha
Khade Ho Door Kiyon Tum Yu.N Ajnabi Ki Tarha
Paas Baitho Kabhi Apne Or Khud Se Baat Karo
Bhaagte Ho Kiyon Tum Khudse Aadmi Ki Tarha
Aao Wo Haseen Lamha Tumhaari Nazar Karu.N
Jiyaa Hai Maine Jise Aksar Hii Zindagi Ki Tarha
Dhundha Kiya Ham Jise Ta Umr Paaglon Ki Tarha
Wo Bikhra Thaa Mere Chaar Su Roshni Ki Tarha
Aaj Kiyon Hamara Wo Gam Se Naata Jor Chale
Rehte Thay Jo Labbon Pe Sada Hii Hassi Ki Tarha
Kiyon Kar Wo Hota Mera Or ‘Veer’ Main Uska
Main Andhera Thaa Wo Shafq Chandni Ki Tarha