Kabhi Kabhi Tere Gum Se Udas Hota Hoon Itna
Ke Tang Aa Jata Hoon Apni Is Zindagani Se
Kabhi Tujhe Koste Ruk Jaate Hain Surkh Lab Mere
Jab Yaad Aata Hain Ke Zinda Hoon Teri Meherbani Se
Apni Jawani Ko Le Kar Kya Khaak Main Karoon
Ke Ob Gaya Ho Main Bilkul Apni Is Jawani Se
Jisko Bhi Bayaan Ki Woh Sab Ulajh Gaye
Main Bhi Hoon Pareshaan Apne Is Kahani Se
Tu Hi To Hain Jiske Liye Main Tadapta Raha Ab Tak
Koi Kehde Jaa Kar Meri Is Dil Ki Rani Se
Na Ranjishoon Ki Parwa Na Zamane Ka Dar
Dar To Is Baat Ka Hain Lag Na Jaye Kahi Aag Paani Se